chār-sū sail-e-sipāh-e-mah-o-aḳhtar terā
sarhad-e-shab se guzartā huā lashkar terā
be-karāñ tū hī mahākāt-e-shab-o-roz meñ hai
dasht-e-zulmat tirā rahvār-e-munavvar terā
kurra-e-bād pe sad-rañg manāzir tere
halqa-e-arz meñ yak-naqsh samundar terā
harf-e-qirtās jihat-gīr hai tafsīr tirī
aks-e-ā.īna-e-aurañg hai jauhar terā
dām-e-girdāb meñ biphrī huī maujeñ terī
tah meñ paanī kī girāñ-māya-e-gauhar terā