Mohammad Ahmad Ramz

ek gahri chup andar andar ruh mein utri jae

Mohammad Ahmad Ramz

1932
ik gahrī chup andar andar ruuh meñ utrī jaa.e
lā-fānī ho jā.ūñ ye ḳhvāhish pal pal baḌhtī jaa.e
ye patthar sī tanhā.ī ye bhārī bojhal raat
jaane kaisā bojh hai dil par nas nas TuuTī jaa.e
ek nayā an-dekhā manzar mujh se kare kalām
ek na.ī an-jānī ḳhushbū mujh se lipTī jaa.e
us kā saath ik uljhī Dor hai bhāgte lamhoñ kī
jitnā suljhā.ūñ maiñ us ko utnā ulajhtī jaa.e
saare naqsh tamannāoñ ke raushan hote jaa.eñ
khiḌkī meñ us kī parchhā.īñ gahrī hotī jaa.e
'ramz' adhūre ḳhvāboñ kī ye ghaTtī baḌhtī chhāñv
tum se dekhī jaa.e to dekho mujh se na dekhī jaa.e
Top Urdushayar.com