bojh sā baḌh jaatā hai dil par shām-Dhale
ruk jaatī haiñ sāñseñ pal-bhar shām-Dhale
khil uThtā hai us kī yaad kā ik ik rañg
jaag uThte haiñ kyā kyā manzar shām-Dhale
aag mire shiryānoñ kī lau dene lagī
pighlā us kī anā kā patthar shām-Dhale
gahre hoñge sargoshī ke saa.e abhī
khul jā.egā lipTā bistar shām-Dhale
kis ko batā.ūñ gum hai mirī apnī pahchān
mujh se judā hai merā paikar shām-Dhale
ik āñdhī sā ghaTtā baḌhtā shor-e-nafas
bhar jaatā hai zehn ke andar shām-Dhale
dil ke ik goshe meñ simaT aate haiñ 'ramz'
sātoñ āsmāñ sātoñ samundar shām-Dhale