bhaTak jā.egā dil ayyārī-e-idrāk se nikleñ
ye zanjīr-e-girāñ toḌeñ ham is pechāk se nikleñ
na maut aa.e jise aisā koī kirdār ho apnā
kahānī ban ke aisī dīda-e-namnāk se nikleñ
yahī parcham nishān-e-lashkar-e-bātil na ban jaa.e
ham ik ḳhanjar sahī lekin kaf-e-saffāk se nikleñ
sabā ban kar abhī karne haiñ tai kitne safar ham ko
ham is miTTī kī ḳhushbū haiñ tilism-e-chāk se nikleñ
hamārī ham-rahī tak haiñ sitāre hoñ ki gul-būTe
zamīñ par ye ugeñ yā parda-e-aflāk se nikleñ
sar-e-sahrā abhī raqs-e-ġhubār-e-qais baaqī hai
abhī kuchh aur lailā.eñ harīm-e-ḳhāk se nikleñ
janāb-e-'ramz' be-masraf rifāqat kā junūñ kab tak
savād-e-gul meñ aap aa.eñ ḳhas-o-ḳhāshāk se nikleñ