Mohammad Ahmad Ramz

chhoD gaya wo naqsh-e-hunar apna tughyani mein

Mohammad Ahmad Ramz

1932
chhoḌ gayā vo naqsh-e-hunar apnā tuġhyānī meñ
ek shanāvar thā jo utrā gahre paanī meñ
phailā huā thā dām-e-falak bhī ā.īna-sūrat
us ne bhī parvāz bharī thī kuchh hairānī meñ
dūd-e-charāġh-e-sub.h meñ jaise sahmī simTī raat
raushan hai faanī manzar us kā lā-fānī meñ
thakī thakī āñkhoñ meñ pareshāñ us kā ḳhvāb-e-visāl
hijr kī lambī raat kaTī bas ek kahānī meñ
sāya-e-arz-o-talab ko rauñdā us ne pairoñ se
us kī anā kā sūraj thā us kī peshānī meñ
ab us ke iz.hār ko denā chāhe jo bhī naam
us ko jo kahnā thā kah gayā apnī baanī meñ
ik ik kar ke 'ramz' bujhe jaate haiñ saare charāġh
maiñ huuñ apnā ḳhauf apnī baḌhtī vīrānī meñ
Top Urdushayar.com