ḳhuub hai ishva ye us kā ye ishārat us kī
mere hāthoñ kī lakīreñ haiñ ibārat us kī
vasl kī raat ke ik āḳhirī motī kī tarah
ḳhvāb bantī huī āñkhoñ meñ bashārat us kī
us ke dāman pe nahīñ paḌte lahū ke dhabbe
teġh uThā.e vo to phir dekho mahārat us kī
ḳhaam ashiyā kī tarah bikhrā paḌā hai sar-e-rāh
zer-e-ta.amīr tamāshā hai imārat us kī
nā-shanāsī ke ḳharābe meñ safar hai us kā
zinda rahne kī tamannā hai jasārat us kī
daaġh tashkīk ke dho detī hai peshānī se
mo.ajaza bantī hai jab 'ramz' tahārat us kī