us ke junūñ kā ḳhvāb hai kin ta.abīroñ meñ
achchhā vo lagtā hai jakḌā zanjīroñ meñ
ab to mere lahū tak baat pahuñchtī hai
kaun sā rañg bharūñ us kī tasvīroñ meñ
ban jaate haiñ ek ḳhabar Dhah jaane kī
apnā shumār bhī hai kachchī ta.amīroñ meñ
us kā tarkash ḳhālī hone vaalā hai
mere naam kā tiir hai kitne tīroñ meñ
mujh se sīkho harf-o-navā kī jādūgarī
DhūñD rahe ho kyā andhī tahrīroñ meñ
mere zer-e-qadam hai 'ramz' iqlīm-e-suḳhan
ik duniyā ye bhī hai mirī jāgīroñ meñ