zarā batlā zamāñ kyā hai makāñ ke us taraf kyā hai
agar ye sab gumāñ hai to gumāñ ke us taraf kyā hai
agar patthar se bikhre haiñ to āḳhir ye chamak kaisī
jo maḳhzan nuur kā hai kahkashāñ ke us taraf kyā hai
ye kyā rasta hai aadam gāmzan hai kis masāfat meñ
nahīñ manzil to phir is kārvāñ ke us taraf kyā hai
ajab pātāl hai darvāza o dīvār se aarī
zamīñ-andar-zamīñ be-nishāñ ke us taraf kyā hai
tah-e-āb-e-ravāñ suntā huuñ ye sargoshiyāñ kaisī
sukūnat kis kī hai aur āstāñ ke us taraf kyā hai
samajhte aa rahe the jis ḳhalā ko shahr-e-gum-gashta
vo shai kyā hai ḳhalā-e-be-karāñ ke us taraf kyā hai
nahīñ khultā ki āḳhir ye tilismātī tamāshā sā
zamīñ ke is taraf aur āsmāñ ke us taraf kyā hai