sulagne raakh ho jaane kā Dar kyuuñ lag rahā hai
dahaktī aag sā gardan pe sar kyuuñ lag rahā hai
lahū se ābyārī karne vaalo kuchh to socho
ye saarā baaġh be-barg-o-samar kyuuñ lag rahā hai
parind-e-fikr par haiñ saḳht kyuuñ us kī uḌāneñ
musāfir aaj be-samt-o-safar kyuuñ lag rahā hai
ye kis ḳhvāhish kā madd-o-jazr haiñ merī nigāheñ
mujhe saarā samundar ik bhañvar kyuuñ lag rahā hai
abhī raushan haiñ kuchh naqsh-o-nigār-e-ḳhud-farebī
mahl us kī rifāqat kā khañDar kyuuñ lag rahā hai
mujhe kis mauj meñ laayā hai istiġhrāq merā
maiñ jis qatre ko chhūtā huuñ guhar kyuuñ lag rahā hai
maiñ huuñ us paar ubharte Dūbte manzar meñ jaise
idhar jo hone vaalā thā udhar kyuuñ lag rahā hai