pal pal mirī ḳhvāhish ko phir añgez kiye jaa.e
mujh ko vo mire zarf meñ labrez kiye jaa.e
ye kaun hai jo aag sī dahkā.e lahū meñ
andar se mirī pyaas ko chañgez kiye jaa.e
saudā hai koī sar meñ to phir TūTegī zanjīr
dīvāna abhī raqs-e-junūñ tez kiye jaa.e
goyā mirī ḳhushbū ko vo pahchān gayā hai
achchhā hai ki mujh se abhī parhez kiye jaa.e
paa.e na mirī gard-e-safar bhī ye zamāna
raftār bahut hai jo vo mahmez kiye jaa.e
rakkhe yūñhī shādāb mujhe kisht-e-ġhazal meñ
mausam tirā miTTī mirī zarḳhez kiye jaa.e