Mohammad Ahmad Ramz

KHala mein ho irtiash jaise kuchh aisa manzar hai aur main hun

Mohammad Ahmad Ramz

1932
ḳhalā meñ ho irti.āsh jaise kuchh aisā manzar hai aur maiñ huuñ
ye karb-e-taḳhlīq kā dhuāñ hai jo mere andar hai aur maiñ huuñ
hazār rañgoñ meñ apnī lahroñ pe shaam ubhartī hai Dūbtī hai
chahār atrāf ā.īna haiñ vo zulf-e-abtar hai aur maiñ huuñ
mire sivā kuchh nahīñ kahīñ bhī azal abad ek ḳhvāb-e-mastī
zamīñ qadam-bhar hai mere nīche falak nigah-bhar hai aur maiñ huuñ
siyāh girdāb sī ḳhalā meñ kisī ko to Dūbnā hai āḳhir
safar kā sāthī bas ik sitāra mire barābar hai aur maiñ huuñ
mujhe ḳhabar hai ki 'ramz' kitnī samā.ateñ zaḳhm zaḳhm hoñgī
lahū kī haiñ kuchh hikāyateñ aur zabān-e-ḳhanjar hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com