Mohammad Ahmad Ramz

shorish-e-KHakistar-e-KHun ko hawa dene se kya

Mohammad Ahmad Ramz

1932
shorish-e-ḳhākistar-e-ḳhūñ ko havā dene se kyā
lams āñkhoñ ko badan kā zā.iqa dene se kyā
ho chukī hai gum sadā-e-bāzgasht-e-ġhaib bhī
pattharoñ ko ab koī naqsh-e-navā dene se kyā
dhuñd kī gahrī tahoñ meñ saare paikar dafn haiñ
apnī bichhḌī sā.atoñ ko ab sadā dene se kyā
ik nihāl-e-ḳhasta kī sūrat khaḌā huuñ raah meñ
mujh ko aane vaalī rut kā aasrā dene se kyā
kaun samjhegā mujhe tasvīr adhūrī chhoḌ duuñ
rañg koī dā.era-dar-dā.era dene se kyā
ek din khā jā.egī mausam kī sañgīnī unheñ
ḳhushbuoñ ko ḳhvāhish-e-sail-e-sabā dene se kyā
ban ga.ī hai bai.at-e-bātil asās-e-vaq.at 'ramz'
arsa-e-imkāñ ko zehn-e-karbalā dene se kyā
Top Urdushayar.com