julūs-e-teġh-o-alam jaane kis dayār kā hai
pas-e-ġhubār bhī ik silsila ġhubār kā hai
ḳhalā-e-jāñ kā safar aur phir tan-e-tanhā
ye rāsta bhī baḌe jabr o iḳhtiyār kā hai
tum aa ga.e ho to mujh ko zarā sambhalne do
abhī to nashsha sā āñkhoñ meñ intizār kā hai
muqām-e-be-ḳhabarī hai yahāñ se kitnī duur
ki shahr-e-dil meñ baḌā shor shahryār kā hai
nahīñ hai sahl mirī tarz par ġhazal kahnā
shi.ār ye kisī yaktā-e-rozgār kā hai