Mohammad Ahmad Ramz

thi meri ham-safri ek dua uske liye

Mohammad Ahmad Ramz

1932
thī mirī ham-safrī ek duā us ke liye
ye bichhaḌnā hai baḌī saḳht sazā us ke liye
ab koī silsila-e-tark-o-talab hī na rahā
aañkh meñ ek bhī manzar na rukā us ke liye
us ke ḳhvāboñ ko na de mausam-e-ta.abīr mirā
koī paiġhām na le jaa.e sabā us ke liye
harf ko lafz na kar lafz ko iz.hār na de
koī tasvīr mukammal na banā us ke liye
maiñ use bhuul bhī jā.ūñ magar ai be-ḳhabarī
merī chup us ke liye merī navā us ke liye
'ramz' de jaa.e to kyā rañg koī merā lahū
'ramz' pis jaa.e to kiyā barg-e-hinā us ke liye
Top Urdushayar.com