Mohammad Ahmad Ramz

tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin

Mohammad Ahmad Ramz

1932
tairtā mauj-e-havā sā āsmānoñ meñ kahīñ
ik parinda gum huā ūñchī uḌānoñ meñ kahīñ
maiñ haqīqat huuñ kisī kirdār meñ mujh ko na Dhaal
log dohrā.eñ na mujh ko dāstānoñ meñ kahīñ
raat chup hai ikkā-dukkā chappuoñ ke saaz par
giit koī gūñjtā hai bādbānoñ meñ kahīñ
raat zaḳhmī ho rahī hai lamha lamha mere saath
phaḌ.phaḌāte haiñ parinde āshiyānoñ meñ kahīñ
fan kī mastī dekhnā bāhar hisār-e-harf se
sochnā bahtā hai dariyā sā.ebānoñ meñ kahīñ
rau.dnā ghoḌe kī Tāpoñ se mirā baaqī badan
aur sar le jā ke pheñk aanā chaTānoñ meñ kahīñ
log yakjā kar rahe haiñ 'ramz' merī ḳhaak ko
dekhnā phir mujh ko mere qadr-dānoñ meñ kahīñ
Top Urdushayar.com