itnā tilism yaad ke chaqmāq meñ rahā
raushan charāġh duur kisī taaq meñ rahā
maḳhfī bhī thā visāl kā vo bāb-e-muḳhtasar
kuchh dil bhī mahv hijr ke asbāq meñ rahā
sahrā ke ishtirāk pe raazī the sab farīq
mahmil kā jo fasād thā ushshāq meñ rahā
mafqūd ho gayā hai siyāq-o-sabāq se
jo harf-e-umr saikaḌoñ aurāq meñ rahā
maiñ thā ki jis ke vāste pāband ahd-e-hijr
vo aur ek hijr ke mīsāq meñ rahā
atvār us ke dekh ke aatā nahīñ yaqīñ
insāñ sunā gayā hai ki āfāq meñ rahā
ḳhufta the daa.eñ baa.eñ ka.ī mār-e-āstīñ
zahrāb kā asar mire tiryāq meñ rahā
tārīḳh ne pasand kiyā bhī kisī sabab
yā bas ki shāh-e-vaqt thā aurāq meñ rahā