lafz-o-bayāñ ke pas-manzar tak ik qaus-e-imkānī aur
merī jast-e-hunar ko likh de koī samt-e-ma.ānī aur
bast-o-kushād-bāzad kyā hai sāñsoñ kī halchal ke sivā
chāñd ghirā ho jab maujoñ meñ baḌhtī hai tuġhyānī aur
sehr-e-savād-e-bahr-o-bar se kitne tūfāñ ubharte haiñ
ab is shorish-e-āb-o-gil ko miTTī aur na paanī aur
dasht-e-navā par chhā jā.egā is ke ba.ad ik lambā sukūt
maiñ chauthā darvesh huuñ mujh se sun lo ek kahānī aur
maiñ huuñ ġhazāl-e-mushk-gazīda merā safar hai tiir ke saath
jab hotī hai niiz ye ḳhushbū baḌhtī hai jaulānī aur
umr ke ġharb-e-siyah meñ kaisā Duub rahā hai mehr-e-shabāb
dekh sako to dekh lo dam-bhar 'ramz' ye shaam suhānī aur