Mohammad Ahmad Ramz

mere lahu ki sarshaari kya uski faza bhi kitni der

Mohammad Ahmad Ramz

1932
mere lahū kī sarshārī kyā us kī fazā bhī kitnī der
tere kaf-e-nāzuk pe rahegā rañg-e-hinā bhī kitnī der
us kī nazar kī halkī sī jumbish kyā kyā jauhar rakhtī hai
lā saktā hai tāb-e-tamāshā ā.īna bhī kitnī der
ab ke vasl kā mausam yūñhī bechainī meñ biit gayā
us ke hoñToñ par chāhat kā phuul khilā bhī kitnī der
koī takallum koī ishāra koī aahaT paas nahīñ
zinda rahe vīrāna-e-jāñ meñ dil kī sadā bhī kitnī der
bikhrā diiñ atrāf-e-junūñ meñ kaisī kaisī ḳhushbueñ
kūcha-e-yār meñ Thahrī hogī bād-e-sabā bhī kitnī der
mere dil meñ gahrā.ī tak zaḳhm haiñ andhī ḳhvāhish ke
aur abhī hoñToñ pe rahegā zahr-e-duā bhī kitnī der
apnī ek adā rakhtī hai us ke ba.ad kī gudāzī bhī
kuchh to socho us pe chalegā sehr-e-qabā bhī kitnī der
aage dhund hai be-samtī kī pīchhe ġhubār-e-gum-shudagī
mere sar meñ saath rahegī merī anā bhī kitnī der
us ke taġhāful kā bhī bharam rakh us se itnī chheḌ na kar
'ramz' barastī hai be-mausam koī ghaTā bhī kitnī der
Top Urdushayar.com