ye bhī koī baat ki sirf tamāshā kar
bech rahā huuñ jins-e-dil-o-jāñ saudā kar
merī ḳhalvat kuchh hañgāme rakhtī hai
aur bhī log aate haiñ tū bhī aayā kar
apnī nisbat kā ezaaz na mujh se chhīn
jitnā jī chāhe tū mujh ko rusvā kar
tujh ko apne saath Dubone vaalā maiñ
mere liye ek ek se tū mat uljhā kar
maiñ bhī dekhūñ tiir pe ram zanjīr pe raqs
kuchh to vahshat mere ġhazāl-e-ra.anā kar
ghol de hijr ke rañgoñ meñ kuchh dil kā lahū
koī naqsh to us kī yaad kā zinda kar
dekh apnī āñkhoñ se ravāñ asr-e-umar
'ramz' apne kufr-e-anā se tauba kar