diye muñDeroñ ke raushan qatār hone lage
laveñ tarāshne vaale farār hone lage
dabīz pardoñ pe mānūs lahreñ uThne lagī
havā ke haath darīchoñ se paar hone lage
adū bhī bharne lage dam tirī rifāqat kā
ab aise-vaise tamāshe bhī yaar hone lage
ab aane vaalī kisī rut kā intizār ho kyā
jaḌoñ se apnī shajar dāġhdār hone lage
falak ke purze ab uḌne meñ koī der nahīñ
pahāḌ sarke zamīnoñ meñ ġhaar hone lage
khulā mahāz to hogī hamārī paspā.ī
ham apne ḳhauf-e-darūñ kā shikār hone lage
safar hai saḳht bahut saḳht agle moḌ ke ba.ad
chamak rahe the jo manzar ġhubār hone lage
na koī mauj-e-tamāshā na aks-e-hairat 'ramz'
hamāre ā.īne be-e'tibār hone lage