Mohammad Ahmad Ramz

uTThe ghubar-e-shor-e-nafas to wahshat mat karna

Mohammad Ahmad Ramz

1932

uTThe ġhubār-e-shor-e-nafas to vahshat mat karnā

dasht-darūñ se hijrat kaisī hijrat mat karnā

dariyā sabza phuul sitāre achchhī ḳhvāhish hai

patthar kāñTe dhuup gard se nafrat mat karnā

ik sach āvāz meñ haiñ jiine ke hazār āhañg

lashkar kasrat pe na jaanā bai.at mat karnā

neza-e-subh pe le kar chalnā kal sūraj

shab meñ magar ailān-e-naved-e-nusrat mat karnā

maiñ to sab kuchh dekh rahā huuñ kyā kyā hai us paar

maiñ jo kahūñ shīshe falak hai hairat mat karnā

geñd hai be-vazn ye duniyā merī Thokar meñ

maiñ jo kahūñ tum is ko uchchhālo jur.at mat karnā

'ramz' samundar gahrā.ī merā sar-e-añgusht

maiñ jo kahūñ utro paanī meñ ujlat mat karnā

Top Urdushayar.com