Mohammad Ahmad Ramz

na sath aa mere main girte faslon mein hun

Mohammad Ahmad Ramz

1932
na saath aa mire maiñ girte fāsloñ meñ huuñ
ġhubār-e-dasht huuñ aur tez āñdhiyoñ meñ huuñ
na jaane qasd kahāñ kā hai kyuuñ nikāle qadam
zamāna biit gayā kaisī hijratoñ meñ huuñ
ḳhud apne shaam o sahar meñ ulajh gayā aisā
maiñ āsmāñ huuñ magar apnī gardishoñ meñ huuñ
bahut kushāda falak hai baḌī basīt zamīñ
magar ye sab maiñ sameTe hue paroñ meñ huuñ
uThā.e phirte haiñ sar merā ek neze par
buland huuñ maiñ yahāñ bhī jo dushmanoñ meñ huuñ
koī bhī hādsa-e-jāñ ho us kā manzar meñ
uThā ke dekh lo aḳhbār surḳhiyoñ meñ huuñ
koī sadā koī halchal nahīñ hai bāhar kī
maiñ apnī guuñj meñ huuñ apnī āhaToñ meñ huuñ
koī bhī aks nahīñ jis meñ merā chehra ho
maiñ ā.īna huuñ magar kitnī hairatoñ meñ huuñ
nasha hai niiñd kā āñkhoñ meñ TūTtā hai badan
ki jaise maiñ bhī lagātār ratjagoñ meñ huuñ
ki jaise mujh ko Duboyā gayā hai paanī meñ
ki jaise maiñ koī shātir shanāvaroñ meñ huuñ
ki jaise mujh ko chaḌhāyā gayā hai suulī par
ki jaise maiñ bhī baḌe ūñche sar-phiroñ meñ huuñ
ki jaise mujh pe hai chhāyā shikār kā aaseb
ki jaise maiñ bhī ḳhatarnāk jañgaloñ meñ huuñ
ki jaise log mujhe dekhne ko aa.e haiñ
ki jaise maiñ luTe-hāre musāfiroñ meñ huuñ
rahūñ maiñ ḳhud ko sameTe hue sambhāle hue
ye 'ramz' merī sazā hai ki dostoñ meñ huuñ
Top Urdushayar.com