ab vo moḌ aayā ki har pal mo'atabar hone ko hai
dekhnā manzar nayā dīvār dar hone ko hai
ab lahū kā rañg gahrā hai mirī tasvīr meñ
aisā lagtā hai ki qissa muḳhtasar hone ko hai
uḌ chalī hai har taraf dāman meñ bhar lene kī baat
qatra qatra us ke dariyā kā guhar hone ko hai
maiñ bhī dekhūñ mujh ko manzar se haTā dene ke ba.ad
ab tamāshā kaun sā bār-e-digar hone ko hai
phir tarāshī jaane vaalī haiñ charāġhoñ kī laveñ
shaam hote hote garm aisī ḳhabar hone ko hai
muḌ ke dekhūñ to aqab meñ kuchh nazar aatā nahīñ
sāmne bhī gum nishān-e-rah-guzar hone ko hai
ab na.ī rāheñ khuleñgī mujh par imkānāt kī
'ramz' mere tan pe zāhir merā sar hone ko hai