ḳhāshāk se ḳhizāñ meñ rahā naam baaġh kā
varna to har daraḳht pe qabza hai zaaġh kā
hairat hai sab talāsh pe us kī rahe musir
paayā gayā surāġh na jis be-surāġh kā
hai irtikāz-e-zāt meñ vaqfa zarā sī der
TuuTā nahīñ hai rābta lau se charāġh kā
kab kis pe mehrbān ho aur kab ulaT paḌe
kis ko yahāñ patā hai kisī ke dimāġh kā
hotā hai phir vo aur kisī yaad ke supurd
rakhtā huuñ jo sambhāl ke lamha farāġh kā
mashq-e-suḳhan meñ dil bhī hamesha se hai sharīk
lekin hai is meñ kaam ziyāda dimāġh kā