nahīñ shauq-e-ḳharīdārī meñ dauḌe jā rahā hai
ye gāhak sair-e-bāzārī meñ dauḌe jā rahā hai
mayassar kuchh nahīñ hai khel meñ lā-hāsilī ke
yūñhī be-kār bekārī meñ dauḌe jā rahā hai
uThā.e phir rahā hai kotvāl-e-umr chābuk
badan majbūr lāchārī meñ dauḌe jā rahā hai
khaḌī hai manfa.at hairān bāhar dā.ere se
ziyāñ apnī ziyāñ-kārī meñ dauḌe jā rahā hai
Thaharnā bhī kahāñ hai sahal in sayyārgāñ ko
na sābit se hī sayyārī meñ dauḌe jā rahā hai
utārā ḳhvāhishoñ kā hai izāfī bojh sar se
to āsānī se dushvārī meñ dauḌe jā rahā hai
nahīñ himmat ki jis meñ ho zamāne ke muqābil
vo apne ghar kī rahdārī meñ dauḌe jā rahā hai
nahīñ miltā magar rauzan ki nikle aks bāhar
pas-e-ā.īna-zañgārī meñ dauḌe jā rahā hai
sameTā jhuuT kī parkār ne hai pesh-o-pas ko
ki ab har sach riyā-kārī meñ dauḌe jā rahā hai
ḳhabar hai rut badalne kī agar rashk-e-sabā vo
ḳhirām-andāz gulzārī meñ dauḌe jā rahā hai