yahīñ thā baiThā huā darmiyāñ kahāñ gayā maiñ
ki mil rahā nahīñ apnā nishāñ kahāñ gayā maiñ
na kar rahā hai fulāñ ko fulāñ ḳhabar merī
na pūchhtā hai fulāñ se fulāñ kahāñ gayā maiñ
nishān miltā hai hāzir meñ kab guzishta kā
batā sakeñge na ā.indagāñ kahāñ gayā maiñ
saje hue haiñ piyāda o asp o fiil tamām
bichhī huī hai bisāt-e-jahāñ kahāñ gayā maiñ
maiñ kab nahīñ thā akārat magar rahā hāzir
huā huuñ ab ke ajab rā.egāñ kahāñ gayā maiñ
jise yaqīn thā har suud meñ ḳhasāre kā
thā apne-āp meñ sharh-e-ziyāñ kahāñ gayā maiñ
agar thā pahle hī nām-o-nishāñ mirā mafqūd
to ho ke bār-e-digar be-nishāñ kahāñ gayā maiñ
na bhejtā hai koī nāma-e-firāq mujhe
na DhūñDhtā hai pata ḳhat-rasāñ kahāñ gayā maiñ
jo kar rahā thā guzishta ke vāqi.āt durust
sunā rahā thā ulaT dāstāñ kahāñ gayā maiñ
liyā gayā huuñ hirāsat meñ be-amānī kī
ki be-amān thā shahr-e-amāñ kahāñ gayā maiñ
uThā ke le gayā dāroġha-e-fanā shāyad
khulā huā hai dar-e-ḳhāk-dāñ kahāñ gayā maiñ
bujhī nahīñ mire ātish-kade kī aag abhī
uThā nahīñ hai badan se dhuāñ kahāñ gayā maiñ
nahīñ huā huuñ magar is tarah kabhī ġhā.eb
rahā hamesha nihāñ dar-ayāñ kahāñ gayā maiñ