rañg havā se chhūT rahā hai mausam-e-kaif-o-mastī hai
phir bhī yahāñ se hadd-e-nazar tak pyāsoñ kī ik bastī hai
dil jaisā an-mol ratan to jab bhī gayā be-rām gayā
jaan kī qīmat kyā māñgeñ ye chiiz to ḳhair ab sastī hai
dil kī khetī suukh rahī hai kaisī ye barsāt huī
ḳhvāboñ ke bādal aate haiñ lekin aag barastī hai
afsānoñ kī qindīleñ haiñ an-dekhīñ mehrāboñ meñ
log jise sahrā kahte haiñ dīvānoñ kī bastī hai