Rahi Masoom Raza

log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain

Rahi Masoom Raza

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1927-1992
log yak-rañgi-e-vahshat se bhī uktā.e haiñ
ham bayābāñ se yahī ek ḳhabar laa.e haiñ
pyaas buniyād hai jiine kī bujhā leñ kaise
ham ne ye ḳhvāb na dekhe haiñ na dikhlā.e haiñ
ham thake-hāre haiñ ai azm-e-safar ham ko sambhāl
kahīñ saaya jo nazar aayā hai ghabrā.e haiñ
zindagī DhūñDh le tū bhī kisī dīvāne ko
us ke gesū to mire pyaar ne suljhā.e haiñ
yaad jis chiiz ko kahte haiñ vo parchhā.īñ hai
aur saa.e bhī kisī shaḳhs ke haath aa.e haiñ
haañ unhīñ logoñ se duniyā meñ shikāyat hai hameñ
haañ vahī log jo akasr hameñ yaad aa.e haiñ
is bayābān-e-dar-o-bām meñ kyā rakkhā hai
ham hī dīvāne haiñ sahrā se chale aa.e haiñ
Top Urdushayar.com