diloñ kī raah par āḳhir ġhubār sā kyuuñ hai
thakā thakā mirī manzil kā rāstā kyuuñ hai
savāl kar diyā tishna-labī ne sāġhar se
mirī talab se tirā itnā fāsla kyuuñ hai
jo duur duur nahīñ koī dil kī rāhoñ par
tū is marīz meñ jiine kā hausla kyuuñ hai
kahāniyoñ kī guzargāh par bhī niiñd nahīñ
ye raat kaisī hai ye dard jāgtā kyuuñ hai
agar tabassum-e-ġhuncha kī baat uḌī thī yūñhī
hazār rañg meñ Duubī huī havā kyuuñ hai