Rahi Masoom Raza

mauj-e-hawa ki zanjiren pahnenge dhum machaenge

Rahi Masoom Raza

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1927-1992
mauj-e-havā kī zanjīreñ pahneñge dhuum machā.eñge
tanhā.ī ko giit meñ Dhāleñge gītoñ ko gā.eñge
kandhe TuuT rahe haiñ sahrā kī ye vus.at bhārī hai
ghar jaa.eñ to apnī nazar meñ aur subuk ho jā.eñge
parchhā.īñ ke is jañgal meñ kyā koī maujūd nahīñ
is dasht-e-tanhā.ī se kab log rihā.ī pā.eñge
zamzam aur gañgā-jal pī kar kaun bachā hai marne se
ham to aañsū kā ye amrit pī ke amar ho jā.eñge
jis bastī meñ sab vāqif hoñ vo bastī ik zindāñ hai
vahshat kī fasl aa.egī to ham kitnā ghabrā.eñge
aaj jo is bedardī se hañstā hai hamārī vahshat par
ik din ham us shahr ko 'rāhī' rah rah kar yaad ā.eñge
Top Urdushayar.com