rāste apnī nazar badlā kiye
ham tumhārā rāsta dekhā kiye
ahl-e-dil sahrā meñ gum hote rahe
zindagī baiThī rahī parda kiye
ehtimām-e-dār-o-zindāñ kī qasam
aadmī har ahd ne paidā kiye
ham haiñ aur ab yaad kā aaseb hai
us ne va.ade to ka.ī iifā kiye
hā.e-re vahshat ki tere shahr kā
ham sabā se rāsta pūchhā kiye