pechāk-e-umr apne sañvār aa.ine ke saath
baaqī ke chaar din bhī guzār aa.ine ke saath
hāsid bahut hai pal meñ huvaidā kare ḳhizāñ
itnā na lag ke baiTh bahār aa.ine ke saath
pathrā ga.e haiñ log tajallī se husn kī
thoḌā sā Daal ruḳh pe ġhubār aa.ine ke saath
kartā hai aks zer-o-zabar nā-murād vaqt
jab ghūmtā hai ulTe madār aa.ine ke saath
paayā na kuchh ḳhalā ke sivā aks-e-hairatī
guzrā thā ār-pār hazār aa.ine ke saath
ma.adūm ho rahe haiñ ḳhad-o-ḳhāl kis sabab
guft-o-shunīd kar mire yaar aa.ine ke saath
vīrān sā khañDar hai magar sair ke liye
lagtī hai ik tavīl qatār aa.ine ke saath
ma.akūs o aks kaise haiñ paivast dekh tū
ā.īna kar rahā hai siñghār aa.ine ke saath