jin se ham chhūT ga.e ab vo jahāñ kaise haiñ
shāḳh-e-gul kaisī hai ḳhushbū ke makāñ kaise haiñ
ai sabā tū to udhar hī se guzartī hogī
us galī meñ mire pairoñ ke nishāñ kaise haiñ
pattharoñ vaale vo insān vo behis dar-o-bām
vo makīñ kaise haiñ shīshe ke makāñ kaise haiñ
kahīñ shabnam ke shagūfe kahīñ añgāroñ ke phuul
aa ke dekho mirī yādoñ ke jahāñ kaise haiñ
koī zanjīr nahīñ lā.eq-e-iz.hār-e-junūñ
ab vo zindānī-e-andāz-e-bayāñ kaise haiñ
le ke ghar se jo nikalte the junūñ kī mash.al
is zamāne meñ vo sāhab-nazarāñ kaise haiñ
yaad jin kī hameñ jiine bhī na degī 'rāhī'
dushman-e-jāñ vo masīhā-nafasāñ kaise haiñ