jitne vahshī haiñ chale jaate haiñ sahrā kī taraf
koī jaatā hī nahīñ ḳhema-e-lailā kī taraf
ham harīfoñ kī tamannā meñ mare jaate haiñ
uñgliyāñ uThne lagīñ dīda-e-bīnā kī taraf
har taraf sub.h ne ik jaal bichhā rakkhā hai
os kī buuñd kahāñ jaatī hai dariyā kī taraf
ham bhī amrit ke talabgār rahe haiñ lekin
haath baḌh jaate haiñ ḳhud zahr-e-tamannā kī taraf