DhūñDhtā huuñ roz-o-shab kaun se jahāñ meñ hai
ik makāñ ki raushan sā bastī-e-gumāñ meñ hai
sust-rau musāfir kī qismatoñ pe kyā ronā
tez chalne vaalā bhī dasht-e-be-amāñ meñ hai
ḳhush bahut na ho sun kar sāhiloñ kā āvāza
ik fasīl paanī kī aur darmiyāñ meñ hai
lauTne nahīñ detā ye tilism rastoñ kā
jāntā huuñ maiñ varna sukh bahut makāñ meñ hai
raaz kuchh nahīñ khultā is ajab nagar kā yaañ
suud meñ na thā din bhī raat bhī ziyāñ meñ hai
dekhtā nahīñ hai kyā saat āsmāñ vaalā
kaun dhuup ke andar kaun sā.ebāñ meñ hai