kabhī qatār se bāhar kabhī qatār ke biich
maiñ hijr-zād huā ḳharch intizār ke biich
banā huā hai ta.alluq sā ustuvārī kā
mire tavāf se is mehvar o madār ke biich
ki aatā jaatā rahe aks-e-hairatī is meñ
bichhā diyā gayā ā.īna ār-pār ke biich
havā ke khel meñ shirkat ke vāste mujh ko
ḳhizāñ ne shāḳh se pheñkā hai rahguzār ke biich
ye maiñ huuñ tū hai hayūlā hai har musāfir kā
jo miT rahā hai thakan se udhar ġhubār ke biich
koī lakīr sī paanī kī jhilmilātī hai
kabhī kabhī mire matrūk ābshār ke biich
maiñ umr ko to mujhe umr khīñchtī hai ulaT
tazād samt kā hai asp aur savār ke biich