tapish gulzār tak pahuñchī lahū dīvār tak aayā
charāġh-e-ḳhud-kalāmī kā dhuāñ bāzār tak aayā
huā kāġhaz musavvar ek paiġhām-e-zabānī se
suḳhan tasvīr tak pahuñchā hunar purkār tak aayā
abas tārīk raste ko tah-e-ḳhurshīd-e-jāñ rakkhā
yahī tār-e-nafas āzār se paikār tak aayā
mohabbat kā bhañvar apnā shikāyat kī jihat apnī
vo mehvar dūsrā thā jo mire pindār tak aayā
ajab chehra safar kā thā havas ke zard paanī meñ
qadam daldal se niklā to ḳhat-e-raftār tak aayā
phir is ke ba.ad tambūr o alam nā-mo'tabar Thahre
koī qāsid na is shām-e-shikast-āsār tak aayā