hijr ik husn hai is husn meñ rahnā achchhā
chashm-e-be-ḳhvāb ko ḳhūñ-nāb kā gahnā achchhā
koī tashbīh kā ḳhurshīd na talmīh kā chāñd
sar-e-qirtās lagā harf-e-barhana achchhā
paar utarne meñ bhī ik sūrat-e-ġharqābī hai
kashti-e-ḳhvāb rah-e-mauj pe bahnā achchhā
yuuñ nasheman nahīñ har roz uThā.e jaate
usī gulshan meñ usī Daal pe rahnā achchhā
be-dilī shart-e-vafā Thahrī hai me.aar to dekh
maiñ burā aur mirā rañj na sahnā achchhā
dhuup us husn kī yak-lahza mayassar to huī
phir na tā-umr lagā saa.e meñ rahnā achchhā
dil jahāñ baat kare dil hī jahāñ baat sune
kār-e-dushvār hai us tarz meñ kahnā achchhā