phailā ajab ġhubār hai ā.īna-gāh meñ
mushkil hai ḳhud ko DhūñDhnā aks-e-tabāh meñ
jal-bujh chukā hai ḳhvāhish-e-nākām se vajūd
parchhā.īñ phir rahī hai makān-e-siyāh meñ
maiñ vo ajal-nasīb ki qātil huuñ apnā-āp
hotā huuñ roz qatl kisī qatl-gāh meñ
rakkhā gayā huuñ izzat-o-tauqīr kā asiir
bāñdhā gayā hai sar ko ġhurūr-e-kulāh meñ
halkān meñ nahīñ tirī ḳhātir sar-e-hujūm
sab mar rahe haiñ hasrat-e-yak-do-nigāh meñ