Ejaz Gul

galiyon mein bhaTakna rah-e-alam mein rahna

Ejaz Gul

galiyoñ meñ bhaTaknā rah-e-ālām meñ rahnā
yaañ sab ko hai nākāmī-e-yak-gām meñ rahnā
pahle to bikhar jaanā guzargāhoñ ke hamrāh
phir hasrat-e-dīvār-o-dar-o-bām meñ rahnā
bāġhāt meñ phirnā ḳhas-o-ḳhāshāk pahan kar
har silsila-e-sabz ke anjām meñ rahnā
har saañs meñ ghulnā tirī dahlīz kī ḳhushbū
har aañkh kā duurī ke siyah daam meñ rahnā
āvāz na aanā kisī ābād makāñ se
har haath kā yaañ dastak-e-nākām meñ rahnā
kuchh der meñ khul jā.egā bastī kā nasība
kuchh der hai aur saḳhtī-ayyām meñ rahnā
'ejāz' bahut din se hai shohrat kā bulāvā
tum ho ki vahī qarya-e-gumnām meñ rahnā
Top Urdushayar.com