dil-mohalla ġhulām ho jaa.e
koī is kā imaam ho jaa.e
daftar-e-ishq kaash tum aao
mere jaisoñ kā kaam ho jaa.e
yuuñ to rakkhā hai pyaas kā roza
aa ga.e ho to jaam ho jaa.e
phir zabān-e-ḳhudā pe lafz-e-kun
jashn kā ehtimām ho jaa.e
chup kā ghuñghaT uThā ke hoñToñ se
jān-e-jānāñ kalām ho jaa.e
qais-o-farhād kī tarah 'hāshim'
bas mohabbat meñ naam ho jaa.e