sūrat-e-sahar jā.ūñ aur dar-ba-dar jā.ūñ
ab to faisla Thahrā raat se guzar jā.ūñ
vāhimoñ ke zindāñ kā zehn zehn qaidī hai
bol fikr-e-tābinda maiñ kidhar kidhar jā.ūñ
merī nā-rasā.ī se qāfila na ruk jaa.e
maiñ ki pā-shikasta huuñ rāste meñ mar jā.ūñ
ishq kī sadāqat par jabki merā īmāñ hai
kaise ḳhud-kushī kar luuñ kyuuñ bikhar bikhar jā.ūñ