saarī rusvā.ī zamāne kī gavārā kar ke
zindagī jiite haiñ kuchh log ḳhasārā kar ke
apne is kaam pe vo rātoñ ko rotā hogā
bech detā hai jo zarre ko sitāra kar ke
ġham ke maare hue ham log magar collage meñ
dil bahal jaatā hai pariyoñ kā nazāra kar ke
phir vahī josh vahī jazba atā hotā hai
tum ne dekhā hī nahīñ pyaar dobāra kar ke
apne kirdār se duniyā ko hilā kar rakh de
varna kyā fā.eda is tarah guzāra kar ke
ham se ābād hai ye sher-o-suḳhan kī mahfil
ham to mar jā.eñge lafzoñ se kināra kar ke