badan se ruuh ham-āġhosh hone vaalī thī
phir is ke ba.ad subuk-dosh hone vaalī thī
nasīb paḌh ke mirā ilm-e-ġhaib kī devī
yaqīn jāniye behosh hone vaalī thī
na sirf teġh ki pī kar mire lahū kī sharāb
zamīn-e-dasht bhī mad.hosh hone vaalī thī
nigār-ḳhāna-e-dil meñ ye dhaḌkanoñ kī ghaḌī
tire na aane se ḳhāmosh hone vaalī thī
maiñ ek laḌkā vafā-dāriyoñ kā parcham-dār
vo ek laḌkī jafā kosh hone vaalī thī
mirī javānī talāsh-e-ma.āsh meñ 'hāshim'
vatan se duur farāmosh hone vaalī thī