vo mire shahr meñ aatā hai chalā jaatā hai
sab ko dīvāna banātā hai chalā jaatā hai
zindagī jis kī ujaḌ jaatī hai is se pūchho
zalzala shahr meñ aatā hai chalā jaatā hai
ek do buuñd baras kar ye garajtā bādal
dasht kī pyaas baḌhātā hai chalā jaatā hai
nāḳhudā hī nahīñ maujoñ kā thapeḌā aksar
kashtiyāñ paar lagātā hai chalā jaatā hai
kaun vo kursī-nashīñ hai ki har aane vaalā
sar-e-taslīm jhukātā hai chalā jaatā hai
jaane kab se vo sar-e-shām mazār-e-dil par
sham-e-ummīd jalātā hai chalā jaatā hai