Hashim Raza Jalalpuri

faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai

Hashim Raza Jalalpuri

Jalalpur, Uttar pradesh, India

1987
faisla hijr kā manzūr bhī ho saktā hai
aadmī ishq meñ majbūr bhī ho saktā hai
vaqt ke paas nahīñ zaḳhm-e-mohabbat kā ilaaj
vaqt ke saath ye nāsūr bhī ho saktā hai
jī meñ aatā hai use haath lagā kar dekhūñ
nuur sā lagtā hai, vo nuur bhī ho saktā hai
apne kāñdhoñ pe salīboñ ko uThā.e hue haiñ
ishq-zādoñ kā ye dastūr bhī ho saktā hai
zehn kā kyā hai ki bachne ke bahāne DhūñDe
dil to jāñbāz hai, mansūr bhī ho saktā hai
sher kahne kā salīqa nahīñ 'hāshim' ko magar
terī tanqīd se mash.hūr bhī ho saktā hai
Top Urdushayar.com