tū nahīñ hai to tire hamnām se rishta rakkhā
ham ne yuuñ bhī dil-e-nākām ko zinda rakkhā
vo marī jaan kā dushman ki sar-e-nahr-e-visāl
sab ko sairāb kiyā bas mujhe pyāsā rakkhā
mere maulā tirī mantiq bhī ajab mantiq hai
hoñT pe pyaas rakhī aañkh meñ dariyā rakkhā
sab ke hāthoñ kī lakīroñ meñ muqaddar rakh ke
rakhne vaale ne mire haath pe sahrā rakkhā
sab ke sab luuT rahe the tirī daulat raanī
maiñ ne to sirf tire shahr kā naqsha rakkhā
jis bulandī pe 'razā' maiñ ne sajā.e tamġhe
us bulandī pe hī TuuTā huā kaasa rakkhā