Hashim Raza Jalalpuri

mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata

Hashim Raza Jalalpuri

Jalalpur, Uttar pradesh, India

1987
maz.hab-e-ishq meñ shajara nahīñ dekhā jaatā
ham parindoñ meñ qabīla nahīñ dekhā jaatā
lashkar-e-ḳhvāb kisī taur utar āñkhoñ meñ
raat bhar niiñd kā rasta nahīñ dekhā jaatā
sūrmā baap ne talvār bhī girvī rakh dī
haath meñ bachchoñ ke kaasa nahīñ dekhā jaatā
tum mire yaar ho kaise maiñ harā duuñ tum ko
mujh se dushman ko bhī paspā nahīñ dekhā jaatā
is zamāne ko faqat maut nazar aatī hai
Dūbne vaale kā jazba nahīñ dekhā jaatā
ai azīzo! mujhe miTTī ke havāle kar do
mujh se ab jism kā malba nahīñ dekhā jaatā
jab se dariyā pe huā pyaas kā qabza 'hāshim'
lab-e-dariyā koī pyāsā nahīñ dekhā jaatā
Top Urdushayar.com