parinda qaid meñ kul āsmān bhuul gayā
rihā to ho gayā lekin uḌaan bhuul gayā
mire shikār ko tarkash meñ tiir laayā magar
vo merī jaan kā dushman kamān bhuul gayā
use to yaad hai saarā jahān mere sivā
maiñ us yaad meñ saarā jahān bhuul gayā
vo shaḳhs zindagī bhar kā thakā huā thā magar
jo paañv qabr meñ rakkhe thakān bhuul gayā
ġharīb-e-shahr ne rakkhī hai aabrū varna
amīr-e-shahr to urdu zabān bhuul gayā
tamām shahr kā naqsha banāne vaalā 'razā'
junūn-e-shauq meñ apnā makān bhuul gayā