mustaqil haath milāte hue thak jaatā huuñ
meñ na.e dost banāte hue thak jaatā huuñ
abr āvāra huuñ maiñ koī samundar to nahīñ
pyaas sahrā kī bujhāte hue thak jaatā huuñ
mālik kaun-o-makāñ ab to rihā.ī de de
jism kā bojh uThāte hue thak jaatā huuñ
to mire raaz batāte hue thaktā hī nahīñ
meñ tire raaz chhupāte hue thak jaatā huuñ
mere qadmoñ se lipaT jaatī hai maañ kī mamtā
maiñ kahīñ gaañv se jaate hue thak jaatā huuñ
jaane kab jā ke mirā ishq mukammal hogā
raqs karte hue gaate hue thak jaatā huuñ